UC Browser – Desi Kahani

UC Browser – Desi Kahani

UC BROWSER KYA HAI

UC Browser ek web browser hai jo ek Chinese company davara banaya gaya hai aur humare desh me kaafi popular hai. Iske itna popular hone ka karan hai ki ye users davara visit kari jaane wali websites se ads hata deta hai.

Humari website ko bhi jadatar users UC browser me kholte hai.

ISME PROBLEM KYA HAI

Problem behad simple hai: DesiKahani2.net ads ke bina nahi chal sakti.

Ads ke sahare naa sirf hume apna bada hosting bill pay karna hota hai, iske sath sath site par kaam kar rahe staff ko bhi pay karna hota hai. Kam ads = Kam content/stories aur less quality.

Hume har saal UC Browser ke karan hajaro dollars ka nuksan sehna padta hai. Aisa kehne se humara matlab yeh nahi hai ki hum puri tarah se ghaate me chal rahe hai, par iski vajah se hum har saal hajaro dollars nuksaan sehte hai.

Hum bas bina kisi karan ke kaafi nuksan seh rahe hai. Koi bhi karan nahi hai ki hum aise users ke liye apni site khole jo hume fayda pahochane ki bajaye nuksaan pahochaye.

KYA BADAL RAHA HAI

Hum UC Browser se aane wale user ko block kar rahe hai. Please humari site visit karne ke liye koi dusra browser istemaal kijiye (e.g. Google Chrome).

IS VISHYE ME AUR JANKARI

Ye problem sirf UC Browser tak simit nahi hai. Aam tor par, har tarah ke ad-blockers sabhi free websites ke liye samsya peda karte hai.

Hume lagta hai internet par users ad-blockers ko is liye install karte hai taaki wo abuse ads aur pop-up/under ads ko block kar sake, iski wajah se sabhi free websites ko kam ads visible ho pati hai.

Is wajah se sabhi website owners ke liye situation aur bhi khrab hoti jati hai. Jis karan unhe kuch alag vikap ya ideas ke baare me sochna padta hai.

UC Browser – Desi Kahani

#Browser #Desi #Kahani